सिलसिले तोड़ गया वो सभी जाते जाते
वर्ना इतने तो मरासिम थे कि आते जाते
शिकवा-ए-ज़ुल्मत-ए-शब से तो कहीं बेहतर था
अपने हिस्से की कोई शम्अ' जलाते जाते
कितना आसाँ था तिरे हिज्र में मरना जानाँ
फिर भी इक उम्र लगी जान से जाते जाते
जश्न-ए-मक़्तल ही न बरपा हुआ वर्ना हम भी
पा-ब-जौलाँ ही सही नाचते गाते जाते
इस की वो जाने उसे पास-ए-वफ़ा था कि न था
तुम 'फ़राज़' अपनी तरफ़ से तो निभाते जाते
हर कोई दिल की हथेली पे है सहरा रक्खे
किस को सैराब करे वो किसे प्यासा रक्खे
उम्र भर कौन निभाता है तअल्लुक़ इतना
ऐ मिरी जान के दुश्मन तुझे अल्लाह रक्खे
हम को अच्छा नहीं लगता कोई हमनाम तिरा
कोई तुझ सा हो तो फिर नाम भी तुझ सा रक्खे
दिल भी पागल है कि उस शख़्स से वाबस्ता है
जो किसी और का होने दे न अपना रक्खे
कम नहीं तम-ए-इबादत भी तो हिर्स-ए-ज़र से
फ़क़्र तो वो है कि जो दीन न दुनिया रक्खे
हँस न इतना भी फ़क़ीरों के अकेले-पन पर
जा ख़ुदा मेरी तरह तुझ को भी तन्हा रक्खे
ये क़नाअ'त है इताअत है कि चाहत है 'फ़राज़'
हम तो राज़ी हैं वो जिस हाल में जैसा रक्खे
Koi Aisa Jaadu Tona Kar...
Mere Ishq Mein Wo Deewana Ho,
Yoon Ulat Pulat Kar Gardish Ki...
Main Shama Wo Parwana Ho,
Zara Dekh Ke Chaal Sitaaro'n Ki...
Koi Zaaicha Kheench Qalandar Sa,
Koi Aisa Jantar Mantar Padh...
Jo Kar De Bakht Sikandar Sa,
Koi Chilla Aisa Kaat, K Phir...
Koi Us Ki Kaat Na Kar Paaye,
Koi Aisa Ta'aveez De Mujhe...
Wo Mujh Par Aashiq Ho Jaaye,
Koi Faal Nikaal Karishma-gar...
Meri Raah Mein Phool Gulaab Aayein,
Koi Paani Phoonk Ke De Aisa...
Wo Piye To Mere Khwaab Aayein,
Koi Aisa Kaala Jaadu Kar...
Jo Jag'mag Kar De Mere Din,
Wo Kahe Mubarak Jaldi Aa...
Ab Jiya Na Jaaye Tere Bin,
Koi Aisi Rah Pe Daal Mujhe...
Jis Rah Se Wo Dildaar Mile,
Koi Tasbeeh Dam Durood Bata...
Jise Padhun To Mera Yaar Mile,
Koi Qaabu Kar Be'qaabu Jinn...
Koi Saanp Nikaal Pitaari Se,
Koi Dhaaga Kheench Paraande Ka...
Koi Manka Ikshadhaari Se,
Koi Aisa Bol Sikha De Na...
Wo Samjhe Khush'guftaar Hoon Main,
Koi Aisa Amal Kara Mujh Se...
Wo Jaane Jaa'n-e-nisaar Hoon Main,
Koi Dhundh Ke Wo Kastoori La...
Usey Lage Main Chaand Ke Jaisa Hoon,
Jo Marzi Mere Yaar Ki Hai...
Usey Lage Main Bilkul Waisa Hoon,
Koi Aisa Ism-e-aazam Padh...
Jo Ashk Baha De Sajdo'n Mein,
Aur Jaise Tera Daawa Hai...
Mahboob Ho Mere Qadmo'n Mein,
Par Aamil Ruk, Ek Baat Kahun...
Ye Qadmo'n Waali Baat Hai Kya,
Mahboob To Hai Sar Aankho'n Par...
Mujh Patthar Ki Auqaat Hai Kya,
Aur Aamil Sun, Ye Kaam Badal...
Ye Kaam Bahut Nuqsaan Ka Hai,
Sab Dhaage Us Ke Haath Mein Hain...
Jo Maalik Kul Jahaan Ka Hai.!!
Kisi Libaas Ki Khushboo Jab Ud Ke Aati Hai
Tere Badan Ki Judaai Bahut Sataati Hai
Tere Badan Ke Paseene Se Mushk-Boo Hai Libaas
Tere Libaas Ki Khushboo Badan Se Aati Hai
Tere Paseeje Hue Tang Pairahan Ki Shameem
Lahoo Mein Aag Laga Kar Badan Jalaati Hai
Tere Gulaab Taraste Hain Teri Khushboo Ko
Teri Safed Chhabili Tujhe Bulaati Hai
Tere Baghair Mujhe Chain Kaise Padta Hai
Mere Baghair Tujhe Neend Kaise Aati Hai
होंटों पे मोहब्बत के फ़साने नहीं आते
साहिल पे समुंदर के ख़ज़ाने नहीं आते
पलकें भी चमक उठती हैं सोने में हमारी
आँखों को अभी ख़्वाब छुपाने नहीं आते
दिल उजड़ी हुई एक सराए की तरह है
अब लोग यहाँ रात जगाने नहीं आते
यारो नए मौसम ने ये एहसान किए हैं
अब याद मुझे दर्द पुराने नहीं आते
उड़ने दो परिंदों को अभी शोख़ हवा में
फिर लौट के बचपन के ज़माने नहीं आते
इस शहर के बादल तिरी ज़ुल्फ़ों की तरह हैं
ये आग लगाते हैं बुझाने नहीं आते
अहबाब भी ग़ैरों की अदा सीख गए हैं
आते हैं मगर दिल को दुखाने नहीं आते
Tum HaQeeQat Nahi Ho Hasrat Ho..
Jo M!Lay khuwab Main Wo DoLat Ho..
Main Tumaray Hi Dam Se Zinda Hon..
Mar Hi Jaon Jo Tum Se Fursat Ho..
Tum Ho khushbu k khuwab ki khushbu..
Or Itnay Hi Be Muravat Ho.
kis Tarah Chor Dain Tumay Jana..
Tum Meri Zindgi ki Adat Ho..
kis Liye Dekhti Ho Aaina..
Tum To khud Se Bhi khoobsorat Ho..
Dastan khatam Honay Wali Hai..
Tum Meri Aakhri Muhabbat Ho....!!
कितने ऐश उड़ाते होंगे कितने इतराते होंगे
जाने कैसे लोग वो होंगे जो उस को भाते होंगे
उस की याद की बाद-ए-सबा में और तो क्या होता होगा,
यूँ ही मेरे बाल हैं बिखरे और बिखर जाते होंगे
बंद रहे जिन का दरवाज़ा ऐसे घरों की मत पूछो,
दीवारें गिर जाती होंगी आँगन रह जाते होंगे
मेरी साँस उखड़ते ही सब बैन करेंगे रोएंगे,
यानी मेरे बाद भी यानी साँस लिये जाते होंगे
यारो कुछ तो हाल सुनाओ उस की क़यामत बाहों की,
वो जो सिमटते होंगे उन में वो तो मर जाते होंगे
यारो कुछ तो बात बताओ उस की क़यामत बाहों की,
वो जो सिमटते होंगे इन में वो तो मर जाते होंगे
Irada Roz Karta Hoon , Magar Kuch Kar Nahi Sakta
Main Paishawar Faraibi Hoon , Mohabbat Kar Nahi Sakta
Bure Hon Ya K Ache Hon , Mujhe Is Se Nahi Matlab
Mujhe Matlab Say Matlab Hai , Main Tum Se Ladd Nahi Sakta
Yahan Har Doosra Insaan Khuda Khud Ko Kehta Hai
Khuda Bhi Wo Ke Jo Apni He Jholi Bhar Nahi Sakta
Main Tum Se Saaf Kehta Hoon ! Mujhe Tum Say Nahi Ulfat
Faqat Lafzi Mohabbat Hai Main Tum Pe Mar Nahi Sakta
Mohabbat Ki Musafat Ne Bahut Zakhmi Kiya Mujh Ko
Abhi Yeh Zakhm Bharne Hain, Main Aahen Bhar Nahi Sakta
Bhale Main Ne Nahi Chaha , Magar Tum Ne To Chaha Hai
Tumhari Yaad Ko Dil Se To Baahir Kar Nahi Sakta
Naa jaanay Aadmi Kyon Aadmi Se Khauf Khata Hai
Jo Apnay Rab Se Darta Ho Kisi Se Dar Nahi Sakta
Aray Oh Ishq !!! Chal Jaa Kam Kar , Kis Ko Bulata Hai ?
Husn Bazar Main Bikta Hai , Sooli Charh Nahi Sakta
Yahan Har Aik Chehray Par Alag Tehreer Likhi Hay
Meri Aankhon Main Aansoo Hain , Abhi Kuch Padh Nahi Sakta
Main Apni Raat Ki Zulfon Main Khud Chaandi Sajata Hoon
Main Uski Maang Main Waadon Ke Heeray Jarr Nahi Sakta
Bhale Jhoota , Munafiq Hoon , Bht Dhokay Diya Lekin
Mera Kuch Waqt Baki Hai , Zameen Mein Garh Nahi Sakta
Main Us Ghar Ka Muqeemi Hoon Jisay Oqat Kehte Hain
Main Apni Had Main Rehta Hoon So Aage Badh Nahi Sakta
Abhi Kuch Sher Rehte Hain Magar Likhne Nahi Hargiz
Kisi Ki Laaj Rakhni Hai , So Zahir Kar Nahi Sakta
~Ali Sarmad