Koi kamaal karke dikhaaye toh kadr karne waalon ki kami nahin..aur kamaal hoga jag sampoorntha hogi aur sampoorntha aayegi jab santulan hoga...tabhi aapke jeevan ki sab pankhudiyan khileingi...samdriddhi ho toh svaasthya bhi ho...shakti bhi ho toh shanti bhi ho...sneh bhi ho aur saamarthya bhi ho
Zingagi keemti hai, cheezein nahin...praan aapke jadd hain-inhein mazboot banaaiye...ye hoga almast rehne se...pranaayam se...pani ki maatra zyaada peene se
Masti ki lakeer haathon mein maango...ye tann jhopdi mein baithe ya rajmahal mein, par mera mann bhagwan ke charnon mein baithe...rishta paramatma se judaa rahe
'mera mera' har koi karta rehta hai, par zameen, dhan kisi ke saath nahin jaati...sirf sukh aur suvidha ke peeche matt daudo, iske aage chalo-shanti laao apne jeevan mein...shanti se hi muskurahat aur khushhaali aayegi
5 kosh hain humare andar...Annmay kosh, Praanmay kosh, Manomay kosh, Vigyanmay kosh aur Anandmay kosh...inn sabka kramshay vikaas karna hai...svasth shareer, balisht praan, mazboot manobal, shuddh aur tejasvini buddhi, aatmik shanti aur shakti
Irshya, jalan, aalochana karne se bacho...shikayati svaabhav se bacho...vivaad se bacho...ye sab vinaashkari svabhaav hain...samajhdaar vo hain jo logon ko jodein
Rishi Vishwamitra-rajrishi..aur Rishi Vashisht, jo brahmrishi kehlaate they...donon ki katha
Apne karm ka phal toh bhognaa hi padega..bhagwan ka kaanoon kisi ke liye nahin badaltaa...so dont be fooled by fake pandits who lead you to believe they can make everything ok...thodi si 'buddhi' ka istemaal karo nahin toh 'buddhu' hi reh jaaoge
Jab aap bahut shraddha lekar Guru ki vidya sunte hain, toh vo vidya aapke liye mantra ban jaata hai...powerful thoughts that can change any negativity into positivity...ek hi shabd apnaane se aapki zindagi keemti ho jaayegi
Gyan ke yug mein dhoka matt khaao...apna uddhaar khud karo...apni jigyaasa lekar mahapurush ki sharan lo..unse pavitra gyan praapt karo..apne galat vichar hataao
Sukti(quotation)..vo mahaan vichaar jinko dohraakar vo aapke svabhaav aur aadat mein aa jaayein aur aapki shakti baneinmantra..dukh se bachaane waale vo shaktishaali vichar jinka manan karne se vo soch aapki raksha karti hai
Mann ko shaant aur santulit rakhiye...ek jagah sthir karein-iske liye pehle 'svaad' jeetiye. phir 'zubaan'...phir chanchalta...bardaasht karne ki shakti ko badaaiye...vipreet sthiti mein shaant rehna seekhiye
Praanmay kosh...ye hai aapki jeevni shakti..shvaas..oorja do tarah se pravaahit hoti hai-leher ya prakanpan..waves ya frequency
Aatma ko paramatma paa lene ki sambhaavna hai...par sabhi paramatma ko nahin praapt kar paate...iska ek maatr kaaran hai apne andar ke 'aag' ka abhaav
Paramatma ka dhaam param lakshya hai...yahan bhay khatam ho jaate hain...poorn shanti milti hai...prem hi prem hota hai...sab samasya ka samaadhan milta hai ...aur iske liye raasta aapke andar se hi shuru hota hai
Bhakti aur dhyan ke baad aapke andar prem uthregaa...vriksh jaise sabko chaanv deta hai, aap bhi sabka bhalaa karte jaaoge...koi 'main' ke vistaar ke bina-sab uski kripa samajhkar
Guru ki amrit vaani....prem karo aatma ka...shraddha aur bhakti....leher mein leher mil jaaye...
Padhein, jaane, poochein...apne agyan ko door karne ki chesta karo...par sahi dhang se...Krishna kehte hain...Tadviddhi pranipatena pariprashnena sevaya
Hansne-hasaane ki aadat banaaiye...apne karya mein masti laao...unke saath baithiye jo aapko prerna dein-aapko nayaa banaaye
Jeevit bhakti aur jeevit shraddha ho toh kalyan hoga...jaise bachche ko apni maa par poora bharosa hota hai...saare darr bhool jaata hai aur nishchint ho jaata hai-aap bhi apne paramatma ke pratee aisi shraddha rakho
Vyagrata ho apne lakshya ko paane ki...paani ki tarah, aag ki tarah, hava ki tarah...apne paramatma ki oar, usey paane ki vyaakulta rehni chahiye
Ganga, Himalaya, jaddi-booti, yog, dhyan, gyan-vigyan ka desh hai Bharat...rishi muniyon ka desh hai bharat..hum apni sanskriti ka laabh nahin lete toh abhaage hain..
Freedom chuno, paramatma ke niyam kaanoon maano...nahin toh jo log niyam kaanoon nahin maante ve bhagwan ki jail mein baandhe jaate hain-matlab keet-patang, pashu-pakshi ki yoni
Be dedicated to your country...shaheedon se prerna lein...dharmveer, shoorveer, karmveer- jo bhi banein...veer banein
Aavaran dosh door karne ke liye taatvagyan chahiye aur uske liye sat-purush aur sat-shaastra ki zaroorat haisaadhan chatushtay ka prayog ho...ismein hai vivek, vairagya, shat sampatiparamatma ka svaad anand hai..jab dukhon ka anth hone lagey aur tripti aur shanti aane lagey
apne aape mein aayein..shaant ho jaayein.. Pavitrata ka khayal rakhein..maun ko saadheinjaap karein-bhaav se.. Nar mein jo basaa hai, vo narayan hai...kalyaan jo karta hai, vo shiv hai..har kann mein jo ramaa huya hai, vo ram hai...jo sab kuchh jaanta hai, vo govind hai..jo durgati se bachaaye, vo durga haiC) dhanyawadi, sehej aur shant banein
Learn from the butterfly....Evolve into a versatile being by facing challenges in life. Being born with a silver spoon does not mean you grow into a coward. Parents must not pamper their kids but they must make them strong. Let them burn like bricks in the kiln of life.
dene wala dene ka pradarshan nahin karta... Vo chhupa huya hai..tum bhi chup mein sab karo.. Nishkaam bhaav se seva karo...sabke hitt ki kaamna hoB) antahkaran par 3 tarah ke dosh hote hain..mal dosh, vikshep dosh aur aavaran doshC) mal dosh jaayega seva se...vikshep dosh dhyan se aur aavaran dosh tattvagyan se
Sangharsh karna seekho...mazboot bano..IQ level hi important nahin...par EQ, RQ, AQ sab viksit hona chahiye
Veh log ishwar se judte hain jinhe...1) kendrit rehna aa gayaa...2) kshan kshan mein jeena aur har pal ka upyog karna...3) apni chinta, apne dukh, dabaav, pareshaani ka samarpan karna seekh jaana...4) nishkaam bhaav se jeevan jeeye...5) hosh poorvak, viviek se jeeye...